Tuesday 24 July 2012

Kya khabar ki manjile'n khud dhundhle mujhko,

 Kya khabar ki manjile'n khud dhundhle mujhko,
Raah ki gard se chehre ko nikhara jaye.

Lazmi ho gaya aukaat men rahna ab to,
Paanw chadar ke mutabik hi pasara jaye.

Zindagi ke liye hai ek hi surat ab to.
Teer ek maut ke seene men utara jaye.

Ab bura koi hame nazar nahi aata ''Azam"
Apne hi jism ko patthar se mara jaye..!!

No comments: