Saturday 30 June 2012

Bimar-E- Ishq Jahan Bhi Dekho,

 Bimar-E- Ishq Jahan Bhi Dekho,

Ehtiyatan Fatiha padh lo...
!!

Ek Hujoom umdaa hai tere Janaaze per,

 Ek Hujoom umdaa hai tere Janaaze per,

Aey Ishq tujhe Kaandhon ki Kami nahi.

Bus yahi na? Tarap k guzri raat...!!!

 Bus yahi na? Tarap k guzri raat...!!!

Tum na aye to Kiya Sawera na hua...?

Palkon ki had ko tod kar zameen per aa gira,

 Palkon ki had ko tod kar zameen per aa gira,

Ek aansu mere sabr ki tauheen kar gaya.

Hazaar unwaan-e-Guftagu the, rah gaye ye soch ke ham,

 Hazaar unwaan-e-Guftagu the, rah gaye ye soch ke ham,

Ye baat use Na'gawaar hogi, Ye lafz use Na'psand hoga.

Nazar mil gayi daf'atan ek nazar se,

 Nazar mil gayi daf'atan ek nazar se,

Dharakne laga dil MOHABBAT ke dar se.

Friday 29 June 2012

Jaa aur koi zabt ki duniya talash kar,

 Jaa aur koi zabt ki duniya talash kar,

Aye ishq ab to hum tere qabil nahi rahe.

Thursday 28 June 2012

Wohi Muntazir Nigahe, Wohi Sham-E-Gham Kaa Manzar,

 Wohi Muntazir Nigahe, Wohi Sham-E-Gham Kaa Manzar,

Main Azal Say Dhoondta Hoon Teri Wapsi Ki Rahein.

Koi laakh kahe ki wo bura hai, "Azam"

 Koi laakh kahe ki wo bura hai, "Azam"

Ham muhabbat k Qaail hai, Ayeb nahi dekha karte.

Tum Jo Auron Ko Batate Ho Jeena Ke Tareeke,


Tum Jo Auron Ko Batate Ho Jeena Ke Tareeke,

Khud Apni Muthi Mein Meri Jaan Liya Bethe Ho.

Nazar se dor reh kr bhi kisi ki soch mein rehna,

 Nazar se dor reh kr bhi kisi ki soch mein rehna,

Kisi ke pas rehne ka saleeqa ho to tum jaisa.

Wednesday 27 June 2012

Jiske liye chale the safar par ...Wo toh chhod gaye,

 Jiske liye chale the safar par ...Wo toh chhod gaye,

Ab raahein kahi bhi le chale Manzil se apna koi vasta nahi.

Phir Mohabbat Ka Haadsa Hogaa,

 Phir Mohabbat Ka Haadsa Hogaa,

Ab to har Roz Tum Sanwarti Ho..!!

Ajeeb do rang hai insaan ki fitrat Azam,

 Ajeeb do rang hai insaan ki fitrat Azam,

Gila hai jisse, usi se mohabbat bhi hai...!!

Monday 25 June 2012

Tu Intekhaab-E-Rang Mein Masroof Aur Idhar,

 Tu Intekhaab-E-Rang Mein  Masroof Aur Idhar,

Koi Tere Junoon Mein Siyah Posh Ho Gaya...!

Ek wo cheez jise dil ki khushi kehte hain,

 Ek wo cheez jise dil ki khushi kehte hain,

Kahin bazaar mein mil jae to lete aana...!!

Shola-e-Husn Se Jal Jaye Na Chehre Ka Naqaab,

 Shola-e-Husn Se Jal Jaye Na Chehre Ka Naqaab,

Apne Rukhsaar Se Parde Ko Hata Bhi Dijiye.

Uske ek ek lamhe ki hifazat karna aye mere khuda,

 Uske ek ek lamhe ki hifazat karna aye mere khuda,

Masoom sa chehra hai, udas ho to acha nahi lagta.

Toot Jaaye to Mukammal nahi Hone Deti ,

 Toot Jaaye to Mukammal nahi Hone Deti ,

Jane Iss NEEND ko KHUWABON se Adaawat Kia hain?

Aankhon Me Haya Ho To Parda Dil Ka Hi Kaafi Hai,

 Aankhon Me Haya Ho To Parda Dil Ka Hi Kaafi Hai,

Nahi to Naqabon Se Bhi Hote Hain Isharay Mohabbat ke.

Friday 22 June 2012

Badla Youn Rang Aapne Hairat Huyi Mujhe,

 Badla Youn Rang Aapne Hairat Huyi Mujhe,

'Girgit' Ko Maat De Gayi Fitrat Janaab Ki.

Mere Naseeb-E-Shauq Me Likha Tha Ye Muqaam,

 Mere Naseeb-E-Shauq Me Likha Tha Ye Muqaam,

Har Soo Tere Khayal Ki Duniya Hai,magar Tu Nahi.

Usne Kaha ki Kaun Sa Tohfa Main Tumhe Doon,

 Usne Kaha ki Kaun Sa Tohfa Main Tumhe Doon,

Maine Kaha Wahi Shaam Jo Ab Tak Udhaar Hai.

Thursday 21 June 2012

Agar Ishq Karo To Aadaab-E-Wafa Bhi Seekh Lo,

 Agar Ishq Karo To Aadaab-E-Wafa Bhi Seekh Lo,

Ye Chand Lamhon Ki Beqarari Mohabbat Nahi Hoti.

Meri nighahon ke aayeene me hain naqsh ab tak wisaal lamhe,

 Meri nighahon ke aayeene me hain naqsh ab tak wisaal lamhe,

Yehi mata-e-hayat hain aur yahi hain hasil kamaal lamhe..!!

Wednesday 20 June 2012

Dono Gunaah-E-Ishq Ke Mujrim Sahi Magar,

 Dono Gunaah-E-Ishq Ke Mujrim Sahi Magar,

ALLAH..! Uske Waaste Aisi Sazaa Na Ho.

Tuesday 19 June 2012

Mausam ki tarha badalte hain uske Ehad,

 Mausam ki tarha badalte hain uske Ehad,

Upar se ye zidd ki mujh par Aitbaar karo.

Ham Bhi Gayenge Geet Khushi Ke Raat Din

 Ham Bhi Gayenge Geet Khushi Ke Raat Din,

Bus Is Dil Ke Muqadmay Me Unhe Maat Ho jaye.

Ek tum hi nahi meri judai mein pareshan,

 Ek tum hi nahi meri judai mein pareshan,

Hum bhi to teri chaah mein viraan bohat hain.

Jab Bhi Aaya Kabi Tere Dast-E-Hinaayi Ka Khayal,

 Jab Bhi Aaya Kabi Tere Dast-E-Hinaayi Ka Khayal,

Mere Hathon Se Giri Cha'ey Ki Piyaali Aksar...

Monday 18 June 2012

Uske Chhor Jane ke Baad Ab Mohabbat Nahi Karte Kisi Se,


 
Uske Chhor Jane ke Baad Ab Mohabbat Nahi Karte Kisi Se,

Thori si hi to Umar Hai Kis-Kis ko Azmate Rahein..!!

Kaun Dekhta Hai Kisi Ko Ab Seerat-e-Ikhlaaq Ki Nazar Se,

 Kaun Dekhta Hai Kisi Ko Ab Seerat-e-Ikhlaaq Ki Nazar Se,

Sirf Khoobsurti Ko Poojte Hain Naye Zamane Ke Log.

Tu Bewafa Hai To, Le Ek Buri Khaber Sun Le,

 Tu Bewafa Hai To, Le Ek Buri Khaber Sun Le,

Ki Intezaar Mera Bhi Koi Dusra Karta Hai.!!

Saturday 16 June 2012

Poocha Tha Usne Haal Buhut Muddaton k Baad

 Poocha Tha Usne Haal Buhut Muddaton k Baad,

Kuch Gir Gaya Hai Aankh main Yeh Keh k Ro pade...!!

Itni Shiddat Mere aansuon me pehle kabhi na thi

 Itni Shiddat Mere aansuon me pehle kabhi na thi,

Dekha jo apna muqaddar to SAR-E-AAM ro diye…!

Friday 15 June 2012

Aye Jaan-E-Tamanna,Rooh-E-Rawaan,Badi Paak Mohabbat Hai Tujhse

 Aye Jaan-E-Tamanna,Rooh-E-Rawaan,Badi Paak Mohabbat Hai Tujhse,

Is Waqt Khudara Door Raho, Jazbaat Ki Niyatt Theek Nahi..!!

Tumhe Jo Dekh Le Phir Kya Wo Mahv-e-Hoor-e-Jannat Ho

 Tumhe Jo Dekh Le Phir Kya Wo Mahv-e-Hoor-e-Jannat Ho,

Qayamat Jo Ki Bar'Haq Hai Magar Jaana,Tum Bhi Qyamat ho.

Thursday 14 June 2012

Shayed khizan ke khouf se roya hai koi Gul,

 Shayed khizan ke khouf se roya hai koi Gul,

Bheega howa hai aaj phir aanchal Gulab ka..!!

Dil Ki Baychain Umangon Pe Karam Farmaaon

 Dil Ki Baychain Umangon Pe Karam Farmaaon,

Itna Ruk Ruk Kar Chalogi Tu Qayamat Hogi.

Wednesday 13 June 2012

Fitrat, Soch Aur Halaat Mein Tasaadoon Hai,

 Fitrat, Soch Aur Halaat Mein Tasaadoon Hai,

Warna, Insan Kaisa Bhi Ho, Dil Ka Bura Nahi Hota..

Tum Ne Chup Reh Ke Sitam aur Bhi Dhaya Mujh Par

 Tum Ne Chup Reh Ke Sitam aur Bhi Dhaya Mujh Par,

Tum Se Aache Hain Mere HaaL Pe Hansne WaLay.

Jakdi huyi hain inme meri saari qaynaat

 Jakdi huyi hain inme meri saari qaynaat,

Jo dekh ne me narm hain teri hatheliyaan.

Monday 11 June 2012

'Bik' Raha Tha Waqt Ke Bazaar Mein Meri Ghairat Ka Lahoo,

 'Bik' Raha Tha Waqt Ke Bazaar Mein Meri Ghairat Ka Lahoo,
..
'Murr' Kar Jo Dekha Toh Apna Hi Pyaar Kharidaar Niklaa.

Bas Aik Maafi, Hamari Touba,Kabhi Jo Ab Ham Satayen Tumko,

 Bas Aik Maafi, Hamari Touba,Kabhi Jo Ab Ham Satayen Tumko,

Lo Haath Jore, Lo Kaan Pakkren Ab Aur Kaise Manayen Tumko?

Aankhon ki Tehreer Parhna Jis Din Se Maine Seekh Lia Hai

 Aankhon ki Tehreer Parhna Jis Din Se Maine Seekh Lia Hai,

Usi Din Se Na Jane kyu Har koi Begana Saa Lagta Hai..!!

Friday 8 June 2012

Barbaad Basti Main ab Kisay Dhoondti Ho,

 Barbaad Basti Main ab Kisay Dhoondti Ho,

Ujray Huye Logo Ke Thikanay Nahi Hotay.

Thursday 7 June 2012

Armaan Tamaan Umar Ke Seene Me Dafan hain


Armaan Tamaan Umar Ke Seene Me Dafan hain,

Hum Chalte Phirte Log Mazaaron Se Kam nahi.

Wednesday 6 June 2012

Afsurdgi Hai Magar Wajah-E-Gham Nahi Maloom,

 Afsurdgi Hai Magar Wajah-E-Gham Nahi Maloom,

Ki Dil Par Bojh Sa Hai Ranj-E-Besabab Ki Tarha.

Tumko ehsaas-e-nadamat ho to bas itna karna

 Tumko ehsaas-e-nadamat ho to bas itna karna,

Phir is tarah se na kisi aur ko ruswa karna.

Monday 4 June 2012

Khushboo K Jazeeron Se Sitaron Ki Hadon Tak,

 Khushboo K Jazeeron Se Sitaron Ki Hadon Tak,

Is Bazm Mein Sab Kuchh Hai Bas ek Teri Kami Hai.