Friday 13 April 2012

Yeh to dil tha deewana ke tum par aa gaya,

 Yeh to dil tha deewana ke tum par aa gaya,
Warna hum keemti pathron ko bhi uthaya nahi karte ... !

Yeh maana ke tum haseen ho, magar yeh bhi sun lo,
Hum haseen logon se dil lagaya nahi karte ... !!

Jiss se karte hain pyaar bus aik hi baar karte hain,
Bar baar hum bhi kissi ko sataya nahi karte ... !

Tum to apne ho ab tumse kiya parda karna,
Warna hum raz-e-dil kissi ko bataya nahi karte ... !!

Tum keh do to tumhare liye jaan bhi hai hazir,
Warna hum zindagi daon par lagaya nahi karte ... !!

No comments: