Monday 19 March 2012

Mere zarf ka ye qasoor tha


Alone boy
Mere zarf ka ye qasoor tha
Ke main dard-e-dil na chupa saka

Mere zarf ne bhi dagha diya
Main to zarf bhi na bacha saka

Mera nafs aik alaao tha
Meri rooh tak ko nigal gaya

Ke main khwahishon ke alaao ko
Na jala saka na bujha saka

Mileen mujh ko jo bhi aziytain
Theen wo doston ki inayatein

Main tamam umr isi khof se
Koi dost phir na bana saka!!

No comments: