Ye shab-e-firaaq ye be basi,
Hain qadam qadam pe udasiyan.
Mera saath koi nah de saka,
Meri hasratain hain dhuwan dhuwan.
Me tarap tarap k jiya to kya,
Mere khuwab mujhsy bichar gaye.
Me udaas ghar ki sadaa sahi,
Mujhay de na koi tasalliyan.
Ye fizaa jo gard-o-gubaar hy,
Meri be`kasee ka mezaar hy.
Main phool hu jo nahi khil saka,
Meri zindagi me wafaa kahan.
Chali aisi dard ki andhiyan,
Mere dil ki basti ujarr gayi.
Ye jo raakh si hy bujhi bujhi,
Hain isi me meri nishaniyan.
Hain qadam qadam pe udasiyan.
Mera saath koi nah de saka,
Meri hasratain hain dhuwan dhuwan.
Me tarap tarap k jiya to kya,
Mere khuwab mujhsy bichar gaye.
Me udaas ghar ki sadaa sahi,
Mujhay de na koi tasalliyan.
Ye fizaa jo gard-o-gubaar hy,
Meri be`kasee ka mezaar hy.
Main phool hu jo nahi khil saka,
Meri zindagi me wafaa kahan.
Chali aisi dard ki andhiyan,
Mere dil ki basti ujarr gayi.
Ye jo raakh si hy bujhi bujhi,
Hain isi me meri nishaniyan.
No comments:
Post a Comment