Barish ki tez bondo ne jab dastak di darwaze par,
Mehsos hua tum aaye ho andaz tumhare jaisa tha.
Hawa k halke jhonko ki jab aahat hui khirki par,
Mehsos hua tum aaye ho andaz tumhary jaisa tha.
Main tanha chala jab barish me, Ek jhonke ne mera sath dia,
Main samjha tum ho sath mere ehsas tumhare jaisa tha.
Phir ruk gai wo barish bi, Rahi na baqi aahat bhi,
Main samjha mujhe tum chor gaye andaz tumhare jaisa tha.

4 comments:
Darwaze par Lock hae bhai, zara dekh ke Dastak dena.
Ha ha ha bhai jaan yahi wajah thi waha se bebas hokar laute ki.
" Really it was one of the best poetry lines".
bahut shaandaar azan sahab maza aa gaya,,,
Post a Comment