Lahoo na ho to kalam tarjuman nahi hota,
Hamare daur me ansoo bezuban nahi hota.
Jahan rahega waheen roshani lootayega,
Kisi chirag ka apna maka'n nahi hota.
Ye kis maqam pe layi hai meri tanhayi ,
Ki mujh se aaj koi badguma'n nahi hota.
Main us ko bhool gaya hoon ye kaon manega,
Kisi chirag ke bas me dhoo'nan nahi hota.
''Azam'' sadyon ki ankhon se dekhiye mujh ko,
Wo lafz hoon jo kabhi dastaan nahi hota...!!

No comments:
Post a Comment