Tuesday, 24 July 2012

Hamne Aagosh - E - Mohabbat Se Ye Jaana Hai,

 Hamne Aagosh - E - Mohabbat Se Ye Jaana Hai,

Jise Rona Nahi Aata Wo Mohabbat Kar Le" !!

Ab wahan yaadon ka bas Bikhra hua malbaa hi hai,

 Ab wahan yaadon ka bas Bikhra hua malbaa hi hai,

jis Jagah par ishq ne buniyaad-e-Wafa rakhi thee..!!

Aaye koi aa kar ye mere dard sambhale,

 Aaye koi aa kar ye mere dard sambhale,

Hamse to ye jaageer sambhali nahi jaati.

Kya khabar ki manjile'n khud dhundhle mujhko,

 Kya khabar ki manjile'n khud dhundhle mujhko,
Raah ki gard se chehre ko nikhara jaye.

Lazmi ho gaya aukaat men rahna ab to,
Paanw chadar ke mutabik hi pasara jaye.

Zindagi ke liye hai ek hi surat ab to.
Teer ek maut ke seene men utara jaye.

Ab bura koi hame nazar nahi aata ''Azam"
Apne hi jism ko patthar se mara jaye..!!

Zahar jaise bhi rag-e-jaa'n men utara jaye,

 Zahar jaise bhi rag-e-jaa'n men utara jaye,
Dushman-e-jaa'n ko zara dhayan se mara jaye.

Isse pahle kisi tufaa'n ko pukara jaye,
Soch lena kahi haathon se kinara jaye.

Meri manzil hai abhi meri nazar se ojhal,
chal raha hun ki jidhar mera sitara jaye.

pyaar ke khel mein jita nahi karte ''Azam''
ye koshish kar ki qalb ko hara jaye...!!

Monday, 23 July 2012

Sitare Kuch Batate Hain, Nateeja Kuch Nikalta Hai,

 Sitare Kuch Batate Hain, Nateeja Kuch Nikalta Hai,
 
Badi Hairat Mein hai Mera Muqaddar Dekhne Wala..!

Tere husn ko kyun hai Fikr-e-Muflisi,

 Tere husn ko kyun hai Fikr-e-Muflisi,

Use to rizk jaise do jahaan se milta hai..!!