Marhale Shauq ke Dushwar Hua Kerte Hai,
Saaye bhi Rah Ki Diwar Hua Karte Hai.
Wo Jo Sach Bolte Rahne Ki Kasam Khate Hai,
Wo Adaalat Ma Gunahgar Hua Karte Hai.
Sirf Hathon Ko Na Dekho Kabi Aankhen Parho,
Kuch Sawali Bade Khud'dar Hua Karte Hai.
Wo Jo Pathr Yunhi Raste Me Pare Rehte Hai,
Un ke Seene Me bhi Shahkar Hua Karte Hai.
Jin Ki Aankhon Ma Sada Pyas ka Sehra Chamken,
Dar-Haqiqat Wohi Fankar Hua Karte Hai.
Sharm Aati Hai ki Dushman Kise Samjhen 'Azam'
Dushmani Ke bhi To Mayar Hua Karte Hai.