Thursday, 31 May 2012

Kaash Aazad Qabeele Ke Sukhan Waar hote


Kaash Aazad Qabeele Ke Sukhan Waar hote,
Ham Mahazoon Pe Na Bikte To Sikandar hote.

Khud Farebi Ke Khawaboon Main Rahe Hum Warna,
Apni Awqaat Main Rehte to Qalandar hote.

Mauj-e-Kausar Ki Qasam, Ham They Muhabbat Ke Wali,
Khaak K Darr Pe Na Jhukte to Samandar hote.

Aankh Ne Khuwab Ke Laalach Main Khayanat Kar Li,
Warna Hum Jaagti Raatoon Ke Payambar hote.

Na-Aaashna-E-Hussun Ko Kya Aitebaar-E-Ishq,


Na-Aaashna-E-Hussun Ko Kya Aitebaar-E-Ishq,

Andho'n Ke Aage Baith Ke , Roya Na Kijiye.

Wo Aayeene Mai Dekh Rahi Thi Bahaar-e-Husn,


Wo Aayeene Mai Dekh Rahi Thi Bahaar-e-Husn,

Aaya Mera Khayal To Sharmaa K Reh Gayi.

Wednesday, 30 May 2012

Ghareebo'n ki Ye Basti Hai, kahan Se Shokhiyaan Laun,

 Ghareebo'n ki Ye Basti Hai, kahan Se Shokhiyaan Laun,

Yahan Bachche To Rehte Hain, Magar Bachpan Nahi Rehta.

Aayega kab khabar nahi parwana-e-Qaza,

 Aayega kab khabar nahi parwana-e-Qaza,

Itna naa dil lagayiye faani hayaat se.

Tuesday, 29 May 2012

Kitney ajeeb morr pe mujh ko mile ho aaj,

Kitney ajeeb morr pe mujh ko mile ho aaj,

Khoney ka hosla hai' na paanay ki aarzoo.

Taskeen-e-Dil Ke Liye Guftugu Karte Hain Log,


Taskeen-e-Dil Ke Liye Guftugu Karte Hain Log,

Maloom To Mujhe Bhi Hai Ki Main Kisi Ko Acha Nahi Lagta.



Aye Kaash Tu Bhi Sunta Kabhi Aahaton Ki Goonj,


Aye Kaash Tu Bhi Sunta Kabhi Aahaton Ki Goonj,

Tu Bhi Meri Tarha Kabhi Dhoondta Mujhe..!

Badan Se Rooh Jaati Hai To Bichti Hai Saff-E-Matam,

 Badan Se Rooh Jaati Hai To Bichti Hai Saff-E-Matam,

Magar Kirdaar Mar Jaaye To Kyun Matam Nahi Hota??

Monday, 28 May 2012

Tere jaane ke baad sirf itna sa gila raha Humko,


Tere jaane ke baad sirf itna sa gila raha Hamko,

Tu palat kar dekh jati to zindagi intzaar me guzaar dete.

Tere hijr me ham khud se bichhad gaye,


Tere hijr me ham khud se bichhad gaye,

Har shakhs tere baad hamein ajnabi laga.

Apne Lehjay Par Zara Gaur Kar Ke Bata,


Apne Lehjay Par Zara Gaur Kar Ke Bata,

Lafz Kitnay Hain, Teer Kitnay Hain.

Friday, 25 May 2012

Ghazab Tha Aaj Gulshan Mai Ye Hasrat Khaiz Nazara,


Ghazab Tha Aaj Gulshan Mai Ye Hasrat Khaiz Nazara,

Idhar Bulbul Ka Dam Toota Udher Fasl-e-Bahar Aayii.

Qayamat Toot Parrti Hai, zara Se Hoont Hilane Pe,



Qayamat Toot Parrti Hai, zara Se Hoont Hilane Pe,

Na jaane Kya Hashr hoga, Ke Jab woh Muskuraye Gi.

Kabhi zid main hi tera ho gaya kabhi dil ne tujhko gawa diya

Kabhi zid main hi tera ho gaya kabhi dil ne tujhko gawa diya,

Isi kashmakash me jiye sanam tune yaad rakha ya bhula diya.

Lut Gayi Yun Sar-e-Bazaar Wafa Ki Poonji

 Lut Gayi Yun Sar-e-Bazaar Wafa Ki Poonji,

Bik Gaya Ho Kisi Majboor Ka Zewar Jaisey.

Thursday, 24 May 2012

Agar ham Hasratoon Ki Qabar Pe Hi Dafan Ho Jaye


Agar ham Hasratoon Ki Qabar Pe Hi Dafan Ho Jaye,

To ye Qutbe Pe Likh Dena Mohabbat Marr Nahi Sakhti.

Wednesday, 23 May 2012

Jo In Ko Dekh Le Us Per Ghusal Laazim, Wazu Laazim


Jo In Ko Dekh Le Us Per Ghusal Laazim, Wazu Laazim.

Faqeeh-E-Shaher Ne Aankhon Pe, Yu Gussa Utara Hai.

Bhari hain jis tarah ankhein hamari ashkon se


Bhari hain jis tarah ankhein hamari ashkon se,

Hamen to lagta hai saara jahan doob gaya...!

Tuesday, 22 May 2012

Monday, 21 May 2012

Jis Din Kitaab-E-Ishq Ki Takmeel Ho gayi

 Jis Din Kitaab-E-Ishq Ki Takmeel Ho gayi,

Rakh Denge Zindagi Tera,"Basta" Utha Ke Hum.

Ye Hooro Pe Marta Hai Be-Dekhe Bhaalay

 Ye Hooro Pe Marta Hai Be-Dekhe Bhaalay,

Nahi Koi Aashiq , Musalmaan Se Barh Kar.

Kar kar ke minnate teri aadat bigaar di

 Kar kar ke minnate teri aadat bigaar di,

Daanista ham ne tum ko sitam gar bana dia.

Zikar Bewafaon Ka Tha Raat Sar_e_Mehfil,,

 Zikar Bewafaon Ka Tha Raat Sar_e_Mehfil,,

Jhuka Mera Bhi Sar Jab Mere YaarKa Naam Aaya,

Bicharnaa Hai.. To Mat Alfaaz Dhoondo

 Bicharnaa Hai.. To Mat Alfaaz Dhoondo,

Hamaaray Waastay Lehjaa Bahut Hai....!!

Dil ko Sambhalte Rahe har Haadse Pe Ham

 Dil ko Sambhalte Rahe har Haadse Pe Ham,

Ab kya Karen ki Khud Tere Gessu Bikhr Gaye...

Saturday, 19 May 2012

Tere Wajood Se Hain Gulshan Ki Ronaqain Azam

 Tere Wajood Se Hain Gulshan Ki Ronaqain Azam,

Tere Baad Ham Bhari Duniya Ko Veeraan Likhenge.

Na koi Gham khizaan kaa hai,Na Khwaahish hai bahaaron ki

 Na koi Gham khizaan kaa hai,Na Khwaahish hai bahaaron ki,

Hamaare saath hai Azam kisi kii yaad ka Mausam...!!

Mulayem haath,kham-e-zulf, adaa-e-nain aur yaqooti honth

 Mulayem haath,kham-e-zulf, adaa-e-nain aur yaqooti honth,

Qatal baaqi hai, auzaar to sabhi pooray hain...

Mannaten Kyun Mangte Ho Auron k Darbaar Se Maqsood

 Mannaten Kyun Mangte Ho Auron k Darbaar Se Maqsood,

Koun Sa Kaam Hai Jo Nahi Hota Tere Parwerdigaar Se.

Thursday, 17 May 2012

Iss Baar Dil Ko Khoob Laga Maut Ka Khayaal

 Iss Baar Dil Ko Khoob Laga Maut Ka Khayaal,

Iss Baar Dard-E-Hijr Ki Shiddat Ajeeb Thi..

Zara Khaloos Se Koi Hame Pukaare to,

 Zara Khaloos Se Koi Hame Pukaare to,

Dahekti Aag Pe, Be Baak Chale Aayennge.

Wednesday, 16 May 2012

Qaim hain zamane mein rishwaton k silsilay

 Qaim hain zamane mein rishwaton k silsilay,

Tum bhi kuch ley dey ke mujhse mohabbat kar lo.

Monday, 14 May 2012

Utha Kar Choom Li Hain Chand Murjhayi Hui Kali'yan

 Utha Kar Choom Li Hain Chand Murjhayi Hui Kali'yan,

Na Tum Aaye Tou Yun Jashn-e-Baharan Kar Liya Humney.

Nikle the ham to ghar se azizon k desh ko

 Nikle the ham to ghar se azizon k desh ko,

Manzil k paas aa ke safeena ujarr gaya..

Ek Pal Main Saarey Jahan Ki Sair Ker Aaati Hoon

 Ek Pal Main Saarey Jahan Ki Sair Ker Aaati Hoon,

Jab Khol K Main Apne RAB Ka QURAN Daikhti Hoon.

Tera deedar , Teri fikar , Tujhse piyaar ki baaten

 Tera deedar , Teri fikar , Tujhse piyaar ki baaten,

Taqaza yehi Dil-e-Nadaan ka subh-o-shaam hota hai.

Pyar Wafa Ki Laaj Nibhaate , Pagal Or Jazbaati Log

 Pyar Wafa Ki Laaj Nibhaate , Pagal Or Jazbaati Log,

Aksar Dhoka Kha Jate Hai , Hum Jaise 'Dehaati' Log.

Shayad Mujhe Kisi Se Mohabbat Nahi Rahi,

 Shayad Mujhe Kisi Se Mohabbat Nahi Rahi,

Lekin Yaqeen Sabko Dilaata Raha Hoon Main.

Teri Tarz-e-Nazar Se Yeh Saaf Zahir Hota Hai

 Teri Tarz-e-Nazar Se Yeh Saaf Zahir Hota Hai

Tere Jazbaat Se Bhi Koi Khel Raha Hai...

Tapakti hai Nigahoun se Barasti hai Adaoun se,

 Tapakti hai Nigahoun se Barasti hai Adaoun se,

Koun kahta hai Muhabbat Pahchani nahee jati.

Wo kaise log the ya Rab jinhon ne paa lia Tujh ko

 Wo kaise log the ya Rab jinhon ne paa lia Tujh ko,

Hume to ho gaya dushwar aik insaan ka milna...

Friday, 11 May 2012

Mujhe Aaram Karne Do, Mujhe Ab Mat Sataao Tum

 Mujhe Aaram Karne Do, Mujhe Ab Mat Sataao Tum,
Thakan Sadiyon Ki Hai Mujh Ko, Mujhe Ab Mat Jagaao Tum.

Meri Khamosh Aankhon Se, Koi Qissa Na Kehna Tum,
Mere Khaabon Mein Sehra Hain, Mujhe Ab Mat Rulaao Tum.

Thursday, 10 May 2012

Ummeedon Ki aag jab had Se Zyada ho

 Ummeedon Ki aag jab had Se Zyada ho,

Bujhti Hain Sirf Ashqon Ki barishon Se.!

Parchaiou'n Ke Sheher Ki Tanhaiya'n Na Pooch

 Parchaiou'n Ke Sheher Ki Tanhaiya'n Na Pooch,

Apna Shareek-E-Ghum Koi Apne Siwa Na Tha...

Wednesday, 9 May 2012

Jab bhi kholi kitaab wahi warq tha ru baru

 Jab bhi kholi kitaab wahi warq tha ru baru,

Tahreer thi jismein tere Zafaaon ki daastan..

Muqarar Hoon,Na Waa'iz Hoon,Na Shayar Hoon Main Lafzoon Ka

 Muqarar Hoon,Na Waa'iz Hoon,Na Shayar Hoon Main Lafzoon Ka,

Zubaan Bas Sath Deti Hai, Main Bate Dil Se Karta Hoon.

Na-Aaashna-E-Hushn Ko Kya Aitebaar-E-Ishq

 Na-Aaashna-E-Hushn Ko Kya Aitebaar-E-Ishq,

Andho'n Ke Aagay Baith Ke , Roya Na Kijiye..

Tuesday, 8 May 2012

"Mohabbat Ki Namaazo Mein Imamat Ek Ko Soupon

 "Mohabbat Ki Namaazo Mein Imamat Ek Ko Soupon,

Ise Chahne  Use Chahne Se Niyat Toot Jaati Hai".

"Log Padh Lete Hai Aankhon Se Dil Ki Baat

 "Log Padh Lete Hai Aankhon Se Dil Ki Baat...

Aye "Azam"

Ab Mujhse Tere Ghum Ki Hifaazat Nahi Hoti" !!