Wednesday, 29 February 2012
Apny Labon Ko Dushman-e-Izhar Mat Bana
Apny Labon Ko Dushman-e-Izhar Mat Bana.
.
Sachay Hain Jo Unhain Gunahgaar Mat Bana.
.
Jetnay Bhi Lafz Hain Wo Mehktay Gulaab Hain.
.
Lehjay K Farq Se Unhain Talwaar Mat Bana.
.
Elzaam Kuch To
Gardish-e-Aiyaam Ko B De.
.
Apnay Har Aik Ghum Ko
Ghum-e-yaar Mat Bana..
.
Har Aik K Liye Khula Mat Rakh Issay "Qateel"
.
Yeh Dil Aik Ghar Hai Issay Bazaar Mat Bana..!
Monday, 27 February 2012
Koi gila nahi hai mujhay us k rooth janay ka
Koi gila nahi hai mujhay us k rooth janay ka..
ujray huway chaman ko to parinday bhi chor jatay hain..
Friday, 24 February 2012
Alfaz kay jhootay bandhan mein
Alfaz kay jhootay bandhan mein
Aghraz kay gehray pardon mein
Har shakhs muhabbat kerta hai
Hala kay muhabbat kuch bhi nahi
Sab jhotay rishtay naatay hain
Sab dil rakhnay ke batain hain
Sab asli roop chupatay hain
Ehsas se khali loog yahan
Lafzon kay teer chalatay hain
Ik bar nazar mein aa kar wo
Phir sari umar rulatay hain
Ye ishq-o-muhabbat mehr-o-wafa
Sab rasmi rasmi batain hain
Her shakhs khudi ke masti mein
Bas apni khatir jeeta hai!!
Aghraz kay gehray pardon mein
Har shakhs muhabbat kerta hai
Hala kay muhabbat kuch bhi nahi
Sab jhotay rishtay naatay hain
Sab dil rakhnay ke batain hain
Sab asli roop chupatay hain
Ehsas se khali loog yahan
Lafzon kay teer chalatay hain
Ik bar nazar mein aa kar wo
Phir sari umar rulatay hain
Ye ishq-o-muhabbat mehr-o-wafa
Sab rasmi rasmi batain hain
Her shakhs khudi ke masti mein
Bas apni khatir jeeta hai!!
Thursday, 23 February 2012
Wednesday, 22 February 2012
Tuesday, 21 February 2012
Shiddat se hame talash thi jiski
Shiddat se hame talash thi jiski
puri nahi thi,
magar aas thi jiski rehte they jo bas khyalo mein hamare,
na jane inn ankhon mein basi wo tasveer thi kiski
Mehsoos kiya hai hamne uske
ehsaas ko tere labo se
andaaje baya lagta hai ye mera sapna hai
jo
haikikat hua hai jane kyon teri har baat pe aitbaar hota hai
zoostju pe teri hum ji na
payenge na muksura aise,
sayad hum mar jayenge izhaar-e-ishq sanam
yu
nazro se na kar sile hont tere
meri dhadkano ko juda kar jayenga..
Saturday, 18 February 2012
Tuesday, 14 February 2012
Shaakh se patte bicharte hue dekha tha bahut
Shaakh se patte bicharte hue dekha tha bahut
Tumse bichre to un patton ki udaasi samjhe !
Monday, 13 February 2012
Ajab paheliyan hein mere in haath ki lakiroon mein,
Ajab paheliyan hein mere in haath ki lakiroon mein,
Safar to likhay hein magar manziloon ka nishan nahi.
Teri Yaadein Udaas Karti Hain
Bheegi raton main aksar,
Palkon pr ashkoon k chiragh saja kar,
Aaj bhi Na jane q,
Tujhay ankhain talash karti hain
Bas,
Teri yadain udas kärti häin.
Thursday, 9 February 2012
Wednesday, 8 February 2012
Tuesday, 7 February 2012
Jab aankho me tera aksh utar jata hai
Thandi hawa ka jhonka bhi ab to chu k guzar jata hai,
kho kar teri yaad me ye tanha dil bikhar jata hai,
kho kar teri yaad me ye tanha dil bikhar jata hai,
hasrate dil-e-nadaan ko dhadkane bhi nai deti,
baras jati hai palke jab aankho me tera aksh utar jata hai.
Monday, 6 February 2012
Silsila 'E' Chahat to dono ka
Silsila 'E' Chahat to dono ka Aur tha..!
.
~yaaron~
.
woh Meri Jaan chahta tha Aur main Jaan se ziyada Usey..!
.
~yaaron~
.
woh Meri Jaan chahta tha Aur main Jaan se ziyada Usey..!
Saturday, 4 February 2012
Chehare Pe Mere Zulf Ko Phailaao Kisii Din
Chehare Pe Mere Zulf Ko Phailaao Kisii Din
Kyaa Roz Garajate Ho Baras Jaao Kisii Din
Raazon Kii Tarah Utaro Mere Dil Men Kisii Shab
Dastak Pe Mere Haath Kii Khul Jaao Kisii Din
Pedon Kii Tarah Husn Kii Baarish Men Nahaa Luun
Baadal Kii Tarah Jhuum Ke Ghir Aao Kisii Din
Khushbuu Kii Tarah Guzaro Mere Dil Kii Galii Se
Phuulon Kii Tarah Mujh Pe Bikhar Jaao Kisii Din
Phir Haath Ko Khairaat Mile Band-E-Qabaa Kii
Phir Lutf-E-Shab-E-Vasl Ko Doharaao Kisii Din
Guzaren Jo Mere Ghar Se To Ruk Jaayen Sitaare
Is Tarah Merii Raat Ko Chamakaao Kisii Din
Main Apanii Har Ik Saans Usii Raat Ko De Duun
Sar Rakh Ke Mere Siine Pe So Jaao Kisii Din
Friday, 3 February 2012
Subscribe to:
Posts (Atom)